ibn-e-adam barsar paikar hai garm zulm-o-jaur ka bazar hai dandanate phir rahe hain shar-pasand kaun aakhir is ka zimmedar hai bo raha hai bughz wa nafrat ke wo bij jis ki apni zehniyat bimar hai hai aziz apna use shakhsi mafad maslahat-bin aaj ka fankar hai khun-e-insan ki tijarat ke liye jis ko apna faeda darkar hai karta hai barham nizam zindagi sirf mal-o-zar se us ko pyar hai dekh kar chaliye zara dam-e-fareb wo shikari darpai-e-azar hai rakhiye gird-o-pesh par apne nazar gul ke pahlu mein wo dekhen khar hai jis ki nazron mein barabar hon sabhi mulk-o-millat ka wahi meamar hai haq ne di hai aap ko wo aql-e-kul jo mohabbat ki alam-bardar hai aao mil-jul kar use hum tai karen zindagi ka jo safar dushwar hai bhai chaare ki faza qaem karen aap ka 'barqi' yahi gham-khwar hai