hawa-e-be-taraf-o-fasl-e-be-samar guzri

hawa-e-be-taraf-o-fasl-e-be-samar guzri
tere baghair guzarna hi kya magar guzri

sharik-e-shorish-e-duniya hun aur sochta hun
ki sham-e-bazm-e-tarab se bhi chashm-e-tar guzri

na thi pahad se kuchh kam magar musibat-e-umr
tere khayal mein guzri to mukhtasar guzri

koi bhi kaam na aaya shikasta-baali mein
saba bhi shakh-e-nasheman ko kat kar guzri

meri nigah ne khwabon mein khud ko pahchana
ki jagte mein jo guzri wo be-basar guzri

zamane-bhar se alag ho ke main udhar ko chala
jidhar jidhar se mere dil ki rahguzar guzri


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close