jism ki chaukhaT pe KHam dil ki jabin kar di gai

jism ki chaukhat pe kham dil ki jabin kar di gai
aasman ki chiz kyun sarf-e-zamin kar di gai

mere hathon ki lakiron hi mein kham rakkha gaya
meri uftad-e-tabiat hi ghamin kar di gai

kal meri be-khwab aankhon ke muqabil raat-bhar
naqsh taron mein wo chashm-e-surmagin kar di gai

khun rulwati rahi guzre zamanon ki shabih
thak gain aankhen to gharq-e-satgin kar di gai

khot sone ke tasalsul mein kahin aai zarur
yun abas to sai-e-dil baatil nahin kar di gai

talkh kar leta hun har lazzat ki shirini ko main
kyun nigah meri nigah-e-pesh-bin kar di gai

naqsh aakhir dil se us ru-e-hasin ka mit gaya
khatm aakhir sohbat-e-nam-o-nagin kar di gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close