hawa-e-hijr chali dil ki regzaron mein sharar jalte hain palkon ki shakh-saron mein koi to mauja-e-tufan idhar bhi aa nikle safine dub chale bahr ke kinaron mein unhin ki hasrat-e-rafta ki yaadgar hun main jo log rah gae tanha bhari bahaaron mein hamin wo sukhe hue zard ped hain jo kabhi bahaar bantte phirte the gul-ezaron mein 'zahir' wo bhi samajhte hain ab zaban-e-ghazal chhupao lakh gham-e-hijr istiaron mein