hijr o visal ki sardi garmi sahta hai dil darwesh hai phir bhi raazi rahta hai phul se itna rabt badhana thik nahin qatra-e-shabnam udte udte kahta hai is kutiya ko dhane wale ghaur se sun is kutiya mein tera dhyan bhi rahta hai har aansu mein aatish ki aamezish hai dil mein shayad aag ka dariya bahta hai mujh se bichhad kar pahron roya karta tha wo jo mere haal pe hansta rahta hai dil ko shayad fasl-e-bahaaran ras nahin bagh mein rah kar khushbu ke dukh sahta hai main ne us ko apna masiha man liya sara zamana jis ko qatil kahta hai tara tara hijr ke qissa phaile hain aansu aansu dil ka sagar bahta hai un honton se yun risti hai baat 'zahir' jaise ek naghmon ka jharna bahta hai