hawa-e-hijr mein jo kuchh tha ab ke khak hua ki pairahan to gaya tha badan bhi chaak hua ab us se tark-e-talluq karun to mar jaun badan se ruh ka is darja ishtirak hua yahi ki sab ki kamanen hamin pe tuti hain chalo hisab-e-saf-e-dostan to pak hua wo be-sabab yunhi rutha hai lamha-bhar ke liye ye saneha na sahi phir bhi karb-nak hua usi ke qurb ne taqsim kar diya aakhir wo jis ka hijr mujhe wajh-e-inhimak hua shadid war na dushman diler tha 'mohsin' main apni be-khabari se magar halak hua