yusuf hi zar-kharidon mein firoz-bakht tha qimat mein jis ki phir wahi shahi ka takht tha majlis mein teri kawish-e-mizhgan ke hath se ghuncha namat har ek jigar lakht lakht tha aansu to chir kar saf-e-mizhgan nikal gaya ladka tha khurd-sal pe dil ka karakht tha tujh pe gudaz dil hai sarapa ai shama-ru jun nakhl-e-mom bagh mein har ek darakht tha 'iman' aafrin hai ki us bad-mizaj se yarane ka nibahna dushwar sakht tha