hawa-e-inqalab-e-dahr se rang-e-chaman badle

hawa-e-inqalab-e-dahr se rang-e-chaman badle
magar mumkin nahin tarz-e-khulus-e-fikr-o-fan badle

bayan ke rang lafzon ki qaba ke bankpan badle
zaban tak aate aate dil ne kitne pairahan badle

guzar jati hai ye kahti hui shokhi adaon ki
tumhaari sadgi se kaun apna bankpan badle

junun ki na-tamami par mujhe hairat unhen uljhan
gareban chaak ho jae to mathe ki shikan badle

achanak teri yaad aai to wo aalam hua dil ka
chaman ka rang jaise subh ki pahli kiran badle

hamein us inqilab-e-dahr ka muzhda na do jis mein
na phulon ki mahak badle na kanton ki chubhan badle

kahan gum ho gaya wo raat ka bhiga hua lamha
jo tere dil ki thandak se mere dil ki jalan badle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close