aankhon mein us ki main ne aakhir malal dekha kin kin bulandiyon par apna zawal dekha saz-e-falak ne chheda mani ka rag jis dam farsh-e-zamin pe raqsan pa-e-khayal dekha wo kudte uchhalte rangin pairahan the masum qahqahon mein udta gulal dekha ye kaun hai jo mujh mein mujh se ulajh raha hai sau bar main ne khud ko khud se nikal dekha kya jaane kaun hain wo jin ke liye juda hain main ne to ek surat hijr-o-visal dekha kuchh zakhm kawishon ke kuchh hasraton ke lashe bahar se kuchh ziyaada andar qital dekha nakaam hasraton ki rudad mukhtasar hai bhae wo kaam ji ko jin ko muhaal dekh ai dil khabis ab tu kis kis pe jaan dega main ne to har qadam par ek be-misal dekha tarikh hai ki khud ko dohrae ja rahi hai basi kadhi mein hum ne yun bhi ubaal dekha dil se utar gain ab pas-e-wafa ki baaten main ne bhi ek muddat tak ye rog pal dekha bas tha ki us se puchhun ye khush-gumaniyan kyon itne mein us ke munh par apna sawal dekha kuchh saf us ka chehra matlab nahin batata yun tha ki jaise main ne quran mein fal dekha mujh ko gharaz nahin kuchh kaisa hai aur kya hai jo bhi khayal aaya sheron mein dhaal dekha