hawa-e-mausam-e-gul se lahu lahu tum the khile the phul magar un mein surkh-ru tum the zara si der ko mausam ka zikr aaya tha phir us ke baad to mauzu-e-guftugu tum the aur ab ki jab surat nahin talafi ki main tum se kaise kahun meri aarzu tum the kahaniyon mein to ye kaam azhdahe ka tha meri jab aankh khuli mere chaar-su tum the