mah-e-nau parda-e-sahab mein hai ya ki abru koi naqab mein hai rangat us rukh ki gul ne pai hai aur pasine ki bu gulab mein hai aaj saqi shikar khelega bat-e-mai kansa-e-sharab mein hai tul-e-roz-e-firaq kahta hai hashr ka roz kis hisab mein hai sharbat-e-qand ki si shirini dahan-e-yar ke luab mein hai shan se kuchh bigad gai shayad zulf-e-shab-rang pech-o-tab mein hai ho 'sakhi' ko na fikr ya allah arz itni teri janab mein hai