hawa-e-shokh ki aakhir fusun kari ye kaisi hai aziyyat de ke tal jati hai dildari ye kaisi hai baraste hain musalsal apne sar aafat ke patthar bata ai dil balaon ki kharidari ye kaisi hai ugi hain dhup ki faslen kahin saya nahin milta shajar-kari ka dawa tha shajar-kari ye kaisi hai khadi hai apne daman ko pasare ghair ke aage mere maula pareshan aaj khud-dari ye kaisi hai kahin khushiyon ki kaliyan hain kahin ashkon ke bute hain hayat-o-maut ke mabain gul-kari ye kaisi hai darichon se shuaen jhankti hain muskuraati hain khabar to lo pas-e-diwar bedari ye kaisi hai larazti hai faqat ek lafz ki halki si thokar se 'wali' dal ke makan ki chaar-diwari ye kaisi hai