hawa-e-subh-e-numu dushman-e-chaman kaise shikar-e-rashk-o-raqabat gul-o-saman kaise hisar-e-sham-o-sahar aur zabt-e-ahl-e-nafas nizam-e-jabr mein bebas ye mard-o-zan kaise na koi baat hui aur na koi dil hi dukha bujhe bujhe se ye shuraka-e-anjuman kaise na koi hath utha aur na koi zer hua to phir batao ki ye chaak pairahan kaise khule to kis pe khule rang-e-eatibar-e-sukhan ye sahiban-e-nazar bad-guman-e-fan kaise