dilon mein dard hi utna kashid rakkha hai ki aankh aankh ne aansu kashid rakkha hai qital zulm-o-tashaddud fasad aag dhuan hamare shahr mein ab kya mazid rakkha hai na jis se hall-e-masail ki rah nikle koi usi ka nam to guft-o-shunid rakkha hai udi hai jab se parindon ki wapsi ki khabar har ek shakhs ne pinjra kharid rakkha hai bata rahe hain 'tasawwur' ye shahr ke haalat kisi ki pusht pe dast-e-yazid rakkha hai