hawa-e-tez mein itna jala bujha hun main shab-e-siyah se kah do ki thak gaya hun main mujhe tumhaari mohabbat abhi qubul nahin kai udas se chehron ka aasra hun main teri gali ke siwa aur dekha bhi kya hai ki tere shahr mein ab bhi naya naya hun main jo masala tha udasi ka meri zat ka tha mujhe laga tha mohabbat mein gham-zada hun main kisi ne mujh ko bataya abhi abhi aa kar tumhaare dar pe badi der se khada hun main ajib hai ki tumhein phir bhi ishq hai mujh se suna to tum ne bhi hoga ki bewafa hun main mujhe ye zindagi ab jaane bhi nahin degi use ye kis ne bataya ki mar raha hun main