aisi nind aai ki phir maut ko pyar aa hi gaya raat bhar jagne wale ko qarar aa hi gaya khak mein yun na milana tha meri jaan tum ko ek wafadar ke dil mein bhi ghubar aa hi gaya yaad-e-gesu ne tasalli to bahut di lekin samne raat maal-e-dil-e-zar aa hi gaya kushta-e-naz ki mayyat pe na aane wala phul daman mein liye su-e-mazar aa hi gaya ye bayaban ye shab-e-mah ye khunki ye hawa ai khizan tujh ko bhi andaz-e-bahaar aa hi gaya aafrin ashk-e-nadamat ki darakhshani ko ek siyahkar ke chehre pe nikhaar aa hi gaya baad-e-manzil bhi na mahsus hua mujh ko 'shafiq' marhaba salle-ala kucha-e-yar aa hi gaya