hawa-e-zindagi bhi kucha-e-qatil se aati hai samajh is baat ki lekin zara mushkil se aati hai yunhi hoti nahin hai wusat-e-fikr-o-nazar paida basarat mein basirat dar-haqiqat dil se aati hai kamal-e-ishq ka yun bhi kabhi andaz hota hai su-e-parwana shama chal ke khud mahfil se aati hai khayalon mein gham-e-sud-o-ziyan kuchh bhi nahin rahta mohabbat ki ye khubi sai-e-la-hasil se aati hai wo aalam kaun sa aalam hai jo pinhan nahin mujh mein jo gosh-e-fikr wa ho ye sada bhi dil se aati hai koi tufan bas aane hi wala hai samundar mein ki bu is baat ki khamoshi-e-sahil se aati hai nigahen qais ki yun hi nahin hain mahw-e-nazzara ziya laila ki hai jo parda-e-mahmil se aati hai nahin aati hai jab ye to kisi par bhi nahin aati magar aati hai jab apni tabiat dil se aati hai nahin rahta tafawut jab visal-o-hijr mein kuchh bhi ye manzil intizar-e-shauq mein mushkil se aati hai lahu ki chhint tak qatil ke daman par nahin koi tadapne ki ada aisi badi mushkil se aati hai