maut ka waqt guzar jaega ye bhi sailab utar jaega aa gaya hai jo kisi sukh ka khayal mujh ko chhuega to mar jaega kya khabar thi mera khamosh makan apni aawaz se dar jaega aa gaya hai jo dukhon ka mausam kuchh na kuchh to kahin dhar jaega jhut bolega to kya hai is mein koi wada bhi to kar jaega us ke bare mein bahut sochta hun mujh se bichhda to kidhar jaega chal nikalne se bahut darta hun kaun phir laut ke ghar jaega