hawa hawas ke ilaqe dikha rahi hai mujhe gul-e-gunah ki mahak phir bula rahi hai mujhe abhi na jaunga main dusre sitare par ki ye zamin abhi ras aa rahi hai mujhe charagh bhi mera chehra hai shab bhi mera jism to phir ye khalq-e-khuda kyun jala rahi hai mujhe samajh mein kuchh nahin aata ki ye hawa-e-wajud jala rahi hai mujhe ya bujha rahi hai mujhe giyah-e-ishq bhi meri gul-e-hawas bhi mere to kyun zamin tamasha bana rahi hai mujhe