shab-e-firaq ka mara hun dil-girafta hun charagh-e-tirah-shabi hun main jalta rahta hun kabhi ka mar diya hota zindagi ne mujhe ye shukr hai ki main zinda-dili se zinda hun koi fareb-e-tamanna na jalwa aur na khayal dayar-e-ishq mein tanha tha aur tanha hun zamana meri hansi ko khushi samajhta hai main muskura ke jo khud ko fareb deta hun na sun sakoge ab ashaar mere ai logo qalam ko khun mein dubo kar main sher kahta hun ye inqalab hai kal main ne rah dikhai thi aur aaj rah mein khud hi bhatakta phirta hun jadidiyat ka hun shaida riwayaton ka amin main imtizaj mein donon ke sher kahta hun jise na dosti mahbub aur na pas-e-wafa us aadmi se hamesha gurez karta hun 'shafiq' mujh ko na ilzam den azal se hi khata-sarisht hai meri khata ka putla hun