hawa hi lau ko ghatati wahi badhati hai ye kis guman mein duniya diye jalati hai bhatakne walon ko kya farq is se padta hai safar mein kaun sadak kis taraf ko jati hai ajib khauf ka gumbad hai mere chaar-taraf meri sada mere kanon mein laut aati hai wo jis bhi rah se guzre jahan qayam kare zamin wahan ki sitaron se bharti jati hai ye zindagi bhi kahin ho na shahar-zad ka rup shabana roz kahani nai sunati hai