gulzar mein wo rut bhi kabhi aa ke rahegi jab koi kali jaur khizan ke na sahegi insan se nafrat ke sharar bujh ke rahenge sadiyon ki ye diwar kisi din to dhahegi jis bap ne aulad ki bahbud na sochi us bap ko aulad ayan hai jo kahegi tu june ki garmi se na ghabra ki jahan mein ye lu to hamesha na rahi hai na rahegi pukhta tera aiwan ki mera kachcha makan hai sailab 'sharif' aaya to har chiz bahegi