hawa jaise koi band-e-qaba-e-nastaran khole

hawa jaise koi band-e-qaba-e-nastaran khole
koi to mere baalon se khizan-dida ribbon khole

parindon ke paron ko tutte dekhun to tute dil
magar jab bhi bahaar aae dar-e-subh-e-chaman khole

mujhe pahlu mein pa kar dekhe koi jannat-e-arzi
kisi sapne ke bose se jo aankhen sim-tan khole

hamare sath bhi us ne kai mausam guzare hain
hamare haq mein bhi shayad zaban wo gul-badan khole

kitab-e-dilbari hum kholte hain us ke padhne ko
hamari baaliyan jaise koi pagal pawan khole

use shak hai abhi jagi hui hain khwahishen meri
ajal rah rah ke aae aur har tar-e-kafan khole

mohabbat mein uthate hain halaf sab 'shaziya-akbar’
na-jaane kaun hai jo raaz-e-sham-e-anjuman khole


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close