raat ne apni rakh uThai din rakkha darwaze par

raat ne apni rakh uthai din rakkha darwaze par
jamne lagi thin kohr mein aahen kaun ruka darwaze par

arbon logon tak jaana tha sab ka hissa pahunchana tha
budha din bhi khub thaka to aan gira darwaze par

do aankhen aur khwab hazaron resham ke juzdanon mein
kaun musafir apna saman chhod gaya darwaze par

nam aankhon se jaane wala kaisa wada saunp gaya
ek yaqin ka bij gira aur ped uga darwaze par

gali ki kachchi barf pe kis ke pairon ka hai taza naqsh
be-dastak jo laut gaya kaun aaya tha darwaze par

us ek rakht-e-safar ki khushbu sare safar mein sath rahi
us ne chalte waqt jo hat pe bosa diya darwaze par

kabhi na aane wale ek musafir ke imkan andar
shab-bhar bell par kan rahe aur dhyan raha darwaze par


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close