hawa ka jhonka bhi nazren jama ke baith gaya main ret par tera chehra bana ke baith gaya sarapa-naz wo mahfil mein aa ke baith gaya na jaane kitnon ke tote uda ke baith gaya tha intizar mujhe jis ke laut aane ka kisi ko aur wo apna bana ke baith gaya bhatak rahi thi hawa kasa-e-talab le kar so raste mein diya main jala ke baith gaya wo ek bulbula jo sath-e-ab par ubhra bisat meri wo mujh ko bata ke baith gaya kuredne se na baz aaya rakh mazi ki wo aakhir ungliyan apni jala ke baith gaya malal-o-rashk hai 'jirajpuri' ko us ka 'niyaz' se bhi koi dil laga ke baith gaya