mukhtasar si wo mulaqat bahut achchhi thi chand lafzon mein dhali baat bahut achchhi thi lamha lamha kisi ummid pe jab guzra tha din bahut khub tha wo raat bahut achchhi thi be-qarari hi mein jab dil ko qarar aata tha hae wo shiddat-e-jazbaat bahut achchhi thi husn ke rang the har pahlu numayan jis mein apni taswir-e-khayalat bahut achchhi thi aankhen bhar aai thin milte ya bichhadte un se donon waqton ki wo barsat bahut achchhi thi chahna bhi unhen aur munh se na kuchh bhi kahna dil ki khamosh munajat bahut achchhi thi lab pe aa jati to kuchh aur bhi achchha tha 'rishi' aap ke dil mein jo thi baat bahut achchhi thi