hawa ka takht bichhata hun raqs karta hun badan charagh banata hun raqs karta hun main baith jata hun takiya laga ke baatin mein khud apni bazm sajata hun raqs karta hun zamin hanpne lagti hai ek jagah ruk kar main us ka hath batata hun raqs karta hun mera surur mujhe khinchta hai apni taraf main apne-ap mein aata hun raqs karta hun main jaanta hun mujhe kaise shant hona hai kaho to ho ke dikhata hun raqs karta hun meri misal dhuan hai bujhe charaghon ka jab apna sog manata hun raqs karta hun ajib lahr si 'anjum' mere khamir mein hai jise wajud mein lata hun raqs karta hun