hawa kabhi yun bhi iThlati aati thi

hawa kabhi yun bhi ithlati aati thi
payal se santur bajati aati thi

aisa khushk kinara ye sahil kab tha
nadi yahan tak bhi lahraati aati thi

ek sitara jagmag karta tha chhat par
kiran zamin tak badan churaati aati thi

wahshi apni dhul udata jata tha
khalq-e-khuda neze lahraati aati thi

khule hue gulzar si koi khush-badani
shahar-e-sukut mein lahar uthati aati thi

shahzadi phir shahr-e-saba ko laut gai
dasht mein jo sau shamen jalati aati thi

yahi nida-e-koh jo aati hai kal bhi
bakht-buridon ko bahlati aati thi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close