hujum-e-gham-zadgan sabr se mukar nahin jae

hujum-e-gham-zadgan sabr se mukar nahin jae
aur ittiham usi bebasi ke sar nahin jae

nikalne hi ko hai mahtab baadalon se abhi
ye intizar isi aasare pe mar nahin jae

bahut zaruri diyon ka hawaon se hai bachao
ki saz-baz-e-hawas kuchh kamal kar nahin jae

main phul bantne niklun to dar bhi sath phire
lahu se kasa-e-gul be-qayas bhar nahin jae

ye kya hai aisa ki siharan si sare jism mein hai
kuen mein aag ke duniya kahin utar nahin jae

mili bhi saat-e-qurbat to shakh chhu na sake
fishaar-e-khun badan mein kahin biphar nahin jae

samette to hain hum lakht-e-jaan pe sochte hain
hawa-e-tund mein phir se makan bikhar nahin jae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close