hawa ke dosh pe rakh kar uDa diye gae hum

hawa ke dosh pe rakh kar uda diye gae hum
numud-e-subh se pahle bujha diye gae hum

hamara rizq-e-muqarrar hamein pahunchna tha
azan-e-fajr se pahle jaga diye gae hum

hamein ye zo'm tha duniya hamein na bhulegi
so yaad aane se pahle bhula diye gae hum

liya jo god mein bete ko ye hua mahsus
hamare hathon mein jaise thama diye gae hum

wo jis zamin pe chalte the hum takabbur se
usi ke niche phir ek din sula diye gae hum

watan pe jaan ganwane ka ye mila inam
kisi sadak ke kinare saja diye gae hum

khilaf-e-zulm kiya ehtijaj jab hum ne
to 'altamash' sar-e-neza chadha diye gae hum


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close