hijr tari hai magar hashr bapa chahta hun

hijr tari hai magar hashr bapa chahta hun
main tujhe jaan nahin jaan se siwa chahta hun

aap kahte hain zamane ki tarah jine ko
main to marna bhi zamane se juda chahta hun

ek misra mujhe mubham nahin achchha lagta
main har ek sher ka mazmun khula chahta hun

shukriya apni inayat ko utha kar rakkhen
khub daulat hai mere pas dua chahta hun

thoda thoda main kahan tak rahun ho kar sab ka
ab kisi ek ke sine se laga chahta hun

dad pane ki tawaqqo nahin rahti mujh ko
han magar sher tawajjoh se suna chahta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close