hawa ke hausle zanjir karna chahta hai wo meri khwahishen taswir karna chahta hai nazar jis se chura kar main guzarna chahti hun wo mausam hi mujhe taskhir karna chahta hai visal-e-did ko aankhen chhupana chahti hain magar dil waqia tahrir karna chahta hai mizaj-e-baad-o-baran aashna hai shauq lekin nae diwar-o-dar tamir karna chahta hai mere sare sawal us ki nazar ke muntazir hain wo danista magar takhir karna chahta hai