hawa ke jhonke shajar ko to be-qaba karenge tere diwane bahaar aane pe kya karenge hamare hathon mein aaina to sada rahega ki doston ko khafa kiya hai khafa karenge hamari neki agarche dariya mein ja padi hai magar sabhi ka bhala kiya hai bhala karenge wo jis takalluf se hum se milta hai roz aa kar usi takalluf se hum bhi us se mila karenge abhi akele hain is liye jam ke so rahe hain agar wo aa jaega to phir rat-jaga karenge