ho gae sare baam-o-dar taqsim

ho gae sare baam-o-dar taqsim
kis tarah ho gaya ye ghar taqsim

bagh mein ab raha hai kya baqi
ho chuke sare jab samar taqsim

kis qadar mutmain hai wo sardar
kar ke sab apna dard-e-sar taqsim

tha mere pas jo bhi sarmaya
ho gaya sab idhar udhar taqsim

chaak par rakh ke meri mitti ko
kar raha hai wo kuza-gar taqsim

ab samundar mein ishtial kahan
rafta rafta hue bhanwar taqsim

dushmani khud hi mol li hum ne
doston mein kiya hunar taqsim

aag se kya bachenge ghar un ke
karte phirte hain jo sharar taqsim


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close