hawa ke lab pe nae intisab se kuchh hain ki shakh-e-wasl pe taza gulab se kuchh hain ye pal ka qissa hai sadiyon pe jo muhit raha bar-ab saat-e-guzaran habab se kuchh hain hujum hum ko sar aankhon pe kyun bithae raha dil-o-nazar pe hamare azab se kuchh hain lahu rulate hain aur phir bhi yaad aate hain mohabbaton ke purane nisab se kuchh hain utarte rahte hain aankhon ke aainon pe sada kitab-e-khasta mein gum-gashta bab se kuchh hain siwae tishnagi kuchh aur de sake na hamein jo zer-e-ab chamakte sarab se kuchh hain mudam un ko chamakna baghair khauf-e-fana ye aasman pe jo be-hisab se kuchh hain