hawa ki jalti hui rida ko sahab kar de sulagti raaton ki saaton ko gulab kar de main pyas ban kar samundaron ko pukar aaya jaza de ya meri tishnagi ka hisab kar de sarab-o-sahra habab-o-dariya meri kahani waraq waraq noch kar mujhe be kitab kar de lahu ki barish zamin se pyar ka sila hai to kat de mera sar mujhe aaftab kar de dua ke sukhe hue labon par itab kaisa nichod de baadalon ko aatish ko aab kar de