roz-o-shab hum ne ashk-bari ki intiha hai ye be-qarari ki mera daman siyah tha phir bhi ai khuda tu ne pasdari ki jaane kab ka main mar gaya hota un ki yaadon ne aabiyari ki kosta hi raha mujhe har dam qadar kya jaane wo bhikari ki khak hun khak mein hi milna hai bu bhi aati hai khaksari ki kaam main ne kya musawwir ka main ne sheron mein dast-kari ki main to majnun ban gaya 'bismil' mujh pe logon ne sang-bari ki