hawa ki zid mein hamein ab dua jalana hai ki hauslon ko zamane ke aazmana hai gire darakht nahin hum ki phal na paenge ye aur baat jadon ko abhi zamana hai diwane darte nahin aandhiyon se wo jin ko ki ret ka hi sahi ghar magar banana hai usi se main ne dua yun hamesha hi mangi agar wo but hai to us ko khuda banana hai hain ungliyon mein phanse jism chikhti ruhen unhen to bhuk magar bachchon ki mitana hai main hun to khak magar khushbuon si hai qismat hawa ke sath faza mein bikhar hi jaana hai