hawa mein ud na jae dastan dil ki dhuan ho kar ghazal main ne kahi hai bolti si be-zaban ho kar hamare jism par suraj sitare chand chamkenge agar hum phail jaenge jahan mein aasman ho kar mere pichhe bahut ashkon bahut yaadon ki duniya hai chala hun is zamin par har jagah main karwan ho kar yaqinan phulon ki khushbu mein ja kar ghul gai hogi hawa kuchh der pahle hi gai mere yahan ho kar kisi chaurah pe jab zindagi ja kar bhatakti hai mohabbat rah batlati hai wo guzre kahan ho kar bahut nazdik se tanhaiyan main ne nibhai hain jahan ki bhid se thoda yahan thoda wahan ho kar