sitam sahne ki tayyari bhi koi chiz hoti hai mohabbat mein wafadari bhi koi chiz hoti hai bahut hum khud-gharaz the jab mohabbat ki to ye jaana ki apni jaan se pyari bhi koi chiz hoti hai zaruri to nahin har baat honthon se kahi jae nigahon ki adakari bhi koi chiz hoti hai agar aankhon se bah jaen to ho jata hai dil halka badan mein ashk se bhaari bhi koi chiz hoti hai taqaze us se hum hi kyun karen har roz milne ke hamari apni khuddari bhi koi chiz hoti hai hamare khat jahan padhte ho yun hi dal dete ho are kamre mein almari bhi koi chiz hoti hai taraf-dari tumhein aati hai apne ghar ke logon ki miyan meri taraf-dari bhi koi chiz hoti hai ayaadat ke bahane mere ghar wo roz aate hain mohabbat walon bimari bhi koi chiz hoti hai