hawa ne chhin liya aa ke mere honton se wo ek git jo main gunguna raha tha abhi wo ja ke nind ke pahlu mein mujh se chhupne laga main us ko apni kahani suna raha tha abhi ki dil mein aa ke naya tir ho gaya paiwast purana zakhm main us ko dikha raha tha abhi baras rahi thi zamin par ajib madhoshi na jaane kaun fazaon mein ga raha tha abhi ufuq ke par ye duba hai kis tarah suraj yahin pe baith ke baaten bana raha tha abhi utha ke dhup ne ghar se mujhe nikal diya main intizar ki shamen jala raha tha abhi jo sab ko hansne ki talqin karta raha hai wo mere samne aansu baha raha tha abhi wo jis ka nam pada hai khamosh logon mein yahan pe lafzon ke dariya baha raha tha abhi