aankh aur nind ke rishte mujhe wapas kar de mere khwabon ke jazire mujhe wapas kar de tujh ko manzur nahin mujh ko hai ab bhi manzur meri qurbat mere bose mujhe wapas kar de apne mathe ke chamakte hue suraj ki qasam meri aaankhon ke sawere mujhe wapas kar de zindagi saya-e-gesu se nikal kar chup hai meri zanjir ke halqe mujhe wapas kar de na to parde hain, na gul-dan, na fanus koi ghar ke khush-rang saliqe mujhe wapas kar de putliyan hilti thin japan ki gudiya ki tarah khwab aaankhon ke dariche mujhe wapas kar de ek makhluq ko jhukna tha mere qadmon par mere mahkum farishte mujhe wapas kar de meri qadren mere mazi ki wo sachchi qadren meri tahzib ke rishte mujhe wapas kar de mera chehra meri qamat meri azmat ke nishan meri tarikh ke safhe mujhe wapas kar de bech dene pe bhi ghar laut kar aa jate the wo wafadar parinde mujhe wapas kar de aa padi aisi zarurat ki lahu pi jaun ab mere khun ke rishte mujhe wapas kar de kis liye chhin raha hai tu mere ghar ka sukun mere bachchon ke khilaune mujhe wapas kar de kaun kahta hai ki jaane de meri lash ko ghar bas mere khun ke kapde mujhe wapas kar de mil rahi hai mujhe na-karda gunahon ki saza mere malik mere sajde mujhe wapas kar de muntashir hain meri bheden unhen yakja kar lun mere ruhani wasile mujhe wapas kar de la idhar, samne la, tuti hui kashti ko main salamat hun wo takhte mujhe wapas kar de tu jinhen bech ke khush-haal nahin hota hai qissa-go aise latife mujhe wapas kar de khel phir in ke bina khel na rah paega zid na kar tash ke patte mujhe wapas kar de