hawa o abr ko aasuda-e-mafhum kar dekhun shurua-e-fasl-e-gul hai un labon ko chum kar dekhun kahan kis aaine mein kaun sa chehra damakta hai zara hairat-sara-e-ab-o-gil mein ghum kar dekhun mere sine mein dil hai ya koi shahzada-e-khud-sar kisi din us ko taj-o-takht se mahrum kar dekhun guzargahen jahan par khatm hoti hain wahan kya hai koi rah-raw palat kar aae to malum kar dekhun bahut din dasht-o-dar mein khak udate hue 'sarwat' ab apne sehn mein apni faza mein jhum kar dekhun