un ki aamad hai gul-fishani hai rang-e-khushbu ki mezbani hai kaisi hogi na jaane sham-e-umr subh jab aisi sar-girani hai maut ka kuchh pata nahin lekin zindagi sirf nauha-khwani hai marne wala hai markazi kirdar aakhiri mod par kahani hai khud-kushi jaisi koi baat nahin ek zara mujh ko bad-gumani hai ye jo barud hai hawaon mein aag thodi si bas lagani hai us ka likkha hi ji raha hun main us ki babat hi ye kahani hai