hawa-o-hirs ki duniya mein dar-ba-dar hue hum khabar jahan ki rakhi khud se be-khabar hue hum qafas mein the to par-o-baal the sharik-e-malal chaman mein aae to mahrum-e-baal-o-par hue hum kanara-gir tamashaiyon se kaisa gila har ek mauja-e-tufan ke ham-safar hue hum hamare hausle ki dad to adu ne bhi di chale hain nawak-e-dushnam to sipar hue hum wo jis safar mein murad-e-safar yaqini thi usi safar pe na aamada-e-safar hue hum hamari manzilat-o-qadr apne fan se hai hunar-shanas hue hum to mo'atabar hue hum hamare pas hai 'mohsin' mata-e-hairani wo intizar raha hai ki chashm-e-dar hue hum