masti-e-rindana hum sairabi-e-mai-khana hum gardish-e-taqdir se hain gardish-e-paimana hum khun-e-dil se chashm-e-tar tak chashm-e-tar se ta-ba-khak kar gae aakhir gul-o-gulzar har virana hum kya bala jabr-e-asiri hai ki aazadi mein bhi dosh par apne liye phirte hain zindan-khana hum rah mein faujon ke pahre sar pe talwaron ki chhanw aae hain zindan mein bhi ba-shaukat-e-shahana hum mitte mitte de gae hum zindagi ko rang-o-nur rafta rafta ban gae is ahd ka afsana hum ya jaga dete hain zarron ke dilon mein mai-kade ya bana lete hain mehr-o-mah ko paimana hum qaid ho kar aur bhi zindan mein udta hai khayal raqs zanjiron mein bhi karte hain aazadana hum