hawa rah mein diye taqon mein maddham ho gae hain

hawa rah mein diye taqon mein maddham ho gae hain
mahaz ab duriyon ke kitne mohkam ho gae hain

hujum-e-na-shanasan mein hai itna hi ghanimat
ye rishte ajnabiyyat ke jo qaem ho gae hain

chattanon se jahan thi guftugu-e-sakht lazim
wahin shirin-sukhan lahje mulaem ho gae hain

mere bachche tera bachpan to main ne bech dala
buzurgi odh kar kandhe tere kham ho gae hain

azabon se tapakti ye chhaten barson chalengi
abhi se kyun makin masruf-e-matam ho gae hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close