nigah-e-mast ka kaif-e-khumar kya kahiye bahaar goya hai andar bahaar kya kahiye maal-e-husn-parasti-e-yar kya kahiye nazar nazar hai meri jalwa yar kya kahiye qadam qadam par nigahon ne thokaren khain fareb-e-jalwa-e-rangin-bahaar kya kahiye ye intizar kisi ka are maaz-allah luta chuka hun mataa-e-qarar kya kahiye unhen khayal ki mahfil mein dhundne nikli meri nazar ka ghalat e'tibar kya kahiye hamein ishaara-e-kun ke fareb ne mara jahan mein aa gae diwana-war kya kahiye har ek zarre mein ek tur kar liya paida nigah-e-shauq tera eqtidar kya kahiye patinge roz hazaron banae jate hain mera taqaddus-e-khak-e-mazar kya kahiye sitam to ye hai ki hum khud sitam ke khugar hain shikayat-e-sitam-rozgar kya kahiye