hawa sanke to kharon ko badi taklif hoti hai mere gham ki bahaaron ko badi taklif hoti hai na chhed ai ham-nashin ab zist ke mayus naghmon ko ki ab barbat ke taron ko badi taklif hoti hai mujhe ai kasrat-e-alam bas itni shikayat hai ki mere gham-gusaron ko badi taklif hoti hai kaho maujon se lahra kar na yun palten samundar se ki ba-ghairat kinaron ko badi taklif hoti hai gale milte hain jab aapas mein do bichhde hue sathi 'adam' hum be-sahaaron ko badi taklif hoti hai