ishq ke waste hai dil ki aad koi dekhe ye til ki ot pahad sar-kashi wajh-e-iftikhar nahin qad mein shamshad se bada hai tad satyanas ho gaya dil ka ishq ne khub ki ukhad-pachhad wo khuda jaane ghar mein hain ki nahin kuchh khula aur kuchh hai band kiwad hasraten baad-e-marg jaen kahan dafn kar mujh ko aur inhen bhi gad na-tawan dil uthae kya gham-e-ishq ek taraf rai ek samt pahad meri taqdir ka mere dil ka un ke hathon mein hai banaw bigad khak meri bhi us mein shamil hai apne daman se gard-e-rah na jhad mal-o-zar de diya hasinon ko rah gaya ghar mein sirf kath-kabad kash uth jae parda-e-hasti mere aur us ke bich mein hai ye aad shola-e-gham se dil ka haal ye hai jaise pahlu mein jal raha ho bhad chaar din wo banaw rakhte hain aur rakhte hain aath roz bigad wo nahin to meri nigah mein hai bagh viran aur shahr ujad rakht-e-hasti ke ho chuke tukde ai junun ab mere kafan ko phad 'nuh' tufan-e-hijr-e-ulfat mein koh-e-judi ki dhundte hain aad